اردو हिंदी
Na dil apna na gham apna na koi gham-gusar apna | Shaahi Shayari
na dil apna na gham apna na koi gham-gusar apna

Ghazal

Na dil apna na gham apna na koi gham-gusar apna

Shad Azimabadi

;

na dil apna na gham apna na koi gham-gusar apna
hum apna jaante har chiz ko hota jo yar apna

jame kis tarah is hairat-kade mein e'tibar apna
na dil apna na jaan apni na hum apne na yar apna

haqiqat mein hamin ko jab nahin KHud e'tibar apna
ghalat samjhi agar samjhi hai tan ko jaan-e-zar apna

kahin hai dam arman ka kahin dane ummidon ke
ajal karti hai kis kis ghat se hum ko shikar apna

ilahi KHair ho ab ke bahaar-e-bagh ne phir bhi
jamaya be-tarah bulbul ke dil par e'tibar apna

jo mai ko Dhaal bhi len hum to saqi ke ishaare par
nahin is ke alawa mai-kade mein iKHtiyar apna

agar qasid haqiqat mein payam-e-wasl laya hai
to kyun aansu bhare munh dekhta hai gham-gusar apna

zarurat kya kisi ko is taraf ho kar guzarne ki
alag ai bekasi basti se hai koson mazar apna

maaz allah furqat ki hain raaten qabr ki raaten
abhi se yan hua jata hai sun sun kar fishaar apna

gulon ki surKH rangat jism mein lauke lagati hai
dikhati hai tamasha kis ki aankhon ko bahaar apna

KHatar kya kashti-e-mai ko bhala mauj-e-hawadis ka
na beDa par ho kyunkar ki KHud saqi hai yar apna

chhupa lega kisi din arsh tak ko apne daman mein
dikha dega tamasha phail kar musht-e-ghubar apna

KHabar kya ghaib ki gham-KHwar ko aur yan ye aalam hai
kaha jata nahin apni zaban se haal-e-zar apna

nahin karta gawara rah-rau ke dil pe mail aana
uDa karta hai raste se alag haT kar ghubar apna

dam aaya nak mein fariyaadiyon ke shor o ghaugha se
qayamat mein abas kyun khinch laya intishaar apna

hum ek mehman hain hum se dosti karne ka hasil kya
nahin kuchh is jahan mein ai shab-e-gham e'tibar apna

kuchh aisa kar ki KHuld aabaad tak ai 'shad' ja pahunchen
abhi tak rah mein wo kar rahe hain intizar apna