na bewafai ka Dar tha na gham judai ka
maza mein kya kahun aaghaz-e-ashnai ka
kahan nahin hai tamasha teri KHudai ka
magar jo dekhne de roab kibriyai ka
wo na-tawan hun agar nabz ko hui jumbish
to saf joD juda ho gaya kalai ka
shab-e-visal bahut kam hai aasman se kaho
ki joD de koi TukDa shab-e-judai ka
ye josh-e-husn se tang aai hai qaba in ki
ki band band hai KHwahan girah-kushai ka
kaman hath se rakh said-gah-e-irfan mein
ki tir said hai yan dam-e-na-rasai ka
wo bad-nasib hun yar aae mere ghar to bane
simaT ke wasl ki shab til ruKH-e-judai ka
hazaron kafir o momin paDe hain sajde mein
buton ke ghar mein bhi saman hai KHudai ka
tamam ho gae hum pahle hi nigah mein haif
na raat wasl ki dekhi na din judai ka
nahin hai mohr lifafa pe KHat ke ai qasid
ye dagh hai meri qismat ki na-rasai ka
naqab Dal ke ai aaftab-e-hashr nikal
KHuda se Dar ye kahin din hai KHud-numai ka
nahin qarar ghaDi bhar kisi ke pahlu mein
ye zauq hai tere nawak ko dilrubai ka
mari taraf se koi ja ke kohkan se kahe
nahin nahin ye mahal zor-azmai ka
kaha jo main ne ki main KHak-e-rah hun tera
to bole hai abhi pindar KHud-numai ka
junun jo meri taraf ho wo jast-o-KHez karun
ki dil ho TuT ke TukDe shikasta-pai ka
'amir' rawayye apne nasib ko aisa
ki ho saped siyah abr na-rasai ka
Ghazal
Na bewafai ka Dar tha na gham judai ka
Ameer Minai