اردو हिंदी
Na apne zabt ko ruswa karo sata ke mujhe | Shaahi Shayari
na apne zabt ko ruswa karo sata ke mujhe

Ghazal

Na apne zabt ko ruswa karo sata ke mujhe

Bismil Azimabadi

;

na apne zabt ko ruswa karo sata ke mujhe
KHuda ke waste dekho na muskura ke mujhe

siwae dagh mila kya chaman mein aa ke mujhe
qafas nasib hua aashiyan bana ke mujhe

adab hai main jo jhukae hue hun aankh apni
ghazab hai tum jo na dekho nazar uTha ke mujhe

ilahi kuchh to ho aasan naza ki mushkil
dam-e-aKHir to taskin de wo aa ke mujhe

KHuda ki shan hai main jin ko dost rakhta tha
wo dekhte bhi nahin ab nazar uTha ke mujhe

meri qasam hai tumhein rahrawan-e-mulk-e-adam
KHuda ke waste tum bhulna na ja ke mujhe

hamara kaun Thikana hai hum to 'bismil' hain
na apne aap ko ruswa karo sata ke mujhe