na ab raqib na naseh na gham-gusar koi
tum aashna the to thin aashnaiyan kya kya
juda the hum to mayassar thin qurbaten kitni
baham hue to paDi hain judaiyan kya kya
pahunch ke dar pe tere kitne mo'tabar Thahre
agarche rah mein huin jag-hansaiyan kya kya
hum aise sada-dilon ki niyaz-mandi se
buton ne ki hain jahan mein KHudaiyan kya kya
sitam pe KHush kabhi lutf-o-karam se ranjida
sikhain tum ne hamein kaj-adaiyan kya kya
Ghazal
Na ab raqib na naseh na gham-gusar koi
Faiz Ahmad Faiz