na aasman hai sakit na dil Thaharta hai
zamana nam guzarne ka hai guzarta hai
wo meri jaan ka dushman sahi magar sayyaad
meri kahi hui baaton pe kan dharta hai
hamin hain wo jo umid-e-fana pe jite hain
zamana zindagi-e-be-baqa pe marta hai
abhi abhi dar-e-zindan pe kaun kahta tha
udhar se haT ke chalo koi nale karta hai
wahi sukut se ek umr kaTne wala
jo sunne wala ho koi to kah guzarta hai
harif bazm mein chheDa karen magar 'saqib'
wo dil jo baiTh gaya ho kahin ubharta hai

Ghazal
Na aasman hai sakit na dil Thaharta hai
Saqib Lakhnavi