mutmain apne yaqin par agar insan ho jae
sau hijabon mein jo pinhan hai numayan ho jae
is tarah qurb tera aur bhi aasan ho jae
mera ek ek nafas kash rag-e-jaan ho jae
wo kabhi sehn-e-chaman mein jo KHiraman ho jae
ghuncha baalida ho itna ki gulistan ho jae
ishq ka koi natija to ho achchha ki bura
zist mushkil hai to marna mera aasan ho jae
jaan le naz agar martaba-e-ijz-o-niyaz
husn sau jaan se KHud ishq ka KHwahan ho jae
mere hi dam se hai aabaad junun-KHana-e-ishq
main na hun qaid to barbaadi-e-zindan ho jae
hai tere husn ka nazzara wo hairat-afza
dekh le chashm-e-tasawwur bhi to hairan ho jae
did ho baat na ho aankh mile dil na mile
ek din koi to pura mera arman ho jae
main agar ashk-e-nidamat ke jawahir bhar lun
tosha-e-hashr mera gosha-e-daman ho jae
le ke dil tark-e-jafa par nahin raazi to mujhe
hai ye manzur ki wo jaan ka KHwahan ho jae
apni mahfil mein biTha lo na suno kuchh na kaho
kam se kam ek din 'ahsan' pe ye ehsan ho jae
Ghazal
Mutmain apne yaqin par agar insan ho jae
Ahsan Marahravi