musalman ke lahu mein hai saliqa dil-nawazi ka
murawwat husn-e-alam-gir hai mardan-e-ghazi ka
shikayat hai mujhe ya rab KHudawandan-e-maktab se
sabaq shahin bachchon ko de rahe hain KHak-bazi ka
bahut muddat ke naKHchiron ka andaz-e-nigah badla
ki main ne fash kar Dala tariqa shah-bazi ka
qalandar juz do harf-e-la-ilah kuchh bhi nahin rakhta
faqih-e-shahr qarun hai lughat-ha-e-hijazi ka
hadis-e-baada-o-mina-o-jam aati nahin mujh ko
na kar KHara-shigafon se taqaza shisha-sazi ka
kahan se tu ne ai 'iqbaal' sikhi hai ye darweshi
ki charcha padshahon mein hai teri be-niyazi ka
Ghazal
Musalman ke lahu mein hai saliqa dil-nawazi ka
Allama Iqbal