muntazir aankhon mein jamta KHun ka dariya dekhte
tum nahin aate to sari umr rasta dekhte
wusat-e-kaun-o-makan is regzar-e-dil mein hai
aarzu hai tum bhi aa kar dil ka sahra dekhte
apne marne ki KHabar ek din uDate kash hum
chahne walon ka apne phir tamasha dekhte
sar pe suraj aa gaya phir bhi na kholi hum ne aankh
subh uThte bhi to aaKHir kis ka chehra dekhte
is jahan-e-rang-o-bu mein dekhne ko kya raha
tujh ko dekha aur in aankhon se hum kya dekhte
tere galon ke muqabil dil mein hasrat rah gai
ek din to hum shafaq ka rang gahra dekhte
sare chehre dekh Dale sari duniya chhan li
justuju ab tak yahi hai koi tum sa dekhte
sare lamhe yaad aate jo guzare tere sath
jangalon mein aag ko jab hum dahakta dekhte
kya pata sina jala deti hamara gham ki aag
hum jo apni tarah 'azar' us ko tanha dekhte
Ghazal
Muntazir aankhon mein jamta KHun ka dariya dekhte
Rashid Aazar

