munh kahan ye ki kahun jaiye aur so rahiye
KHub gar nind hai to aaiye aur so rahiye
takiya zanu ka mere kijiye be-KHauf-o-KHatar
aap tashrif idhar laiye aur so rahiye
aaj ki chandni wo hai ki kisi shoKH ke sath
khol aaghosh lipaT jaiye aur so rahiye
yun to hargiz nahin aane ki tumhein nind magar
mujh se qissa mera kahwaiye aur so rahiye
gham raha tha meri baaton ka tumhein kis kis din
munh mera aap na khulwaiye aur so rahiye
gar rahen hum bhi kahin paenti ab jaen kahan
aap itna hamein farmaiye aur so rahiye
baKHt jage hain shab-e-mah mein jo yar hai pas
chandni taKHt pe bichhwaiye aur so rahiye
us ada ka hun main diwana ki angDai le
mujh se kahta hai kahin jaiye aur so rahiye
Dar KHuda ka hai nahin aur sanam ko le kar
ek ja par tujhe dikhlaiye aur so rahiye
tapish-e-ishq ki garmi se jale jate hain
chhanw ThanDi kahin Tuk paiye aur so rahiye
ye bila fikr se kuchh ned hui hai 'hasan'
ji mein aata hai ki kuchh khaiye aur so rahiye
Ghazal
Munh kahan ye ki kahun jaiye aur so rahiye
Meer Hasan