اردو हिंदी
Munfail tha tera jalwa kya kya | Shaahi Shayari
munfail tha tera jalwa kya kya

Ghazal

Munfail tha tera jalwa kya kya

Jameeluddin Aali

;

munfail tha tera jalwa kya kya
hum ne samjha tera mansha kya kya

ek tha lafz-e-mohabbat jis se
masale ho gae paida kya kya

tu hi KHud dekh ki tere liye kaam
mar gaya harf-e-tamanna kya kya

kaun jaane ki tujhe bin dekhe
tujh se milta hai sahaara kya kya

jab na dekha unhen dekha hi nahin
jab bhi dekha unhen dekha kya kya

kis ko samjhaen ki us mahfil mein
kaise hota hai taqaza kya kya

kis qadar saKHt maqam aae the
hum ne rakkha tera parda kya kya

hum jo diwane nahin ho jate
dekhte log tamasha kya kya

aaj tha raunaq-e-mahfil 'ali'
tum na hote to wo paDhta kya kya