mumkin nahin dawa hai is aazar ke liye
behtar hai maut aashiq-e-bimar ke liye
mar kar hua hun KHak dar-e-yar ke liye
saya bana hun main teri diwar ke liye
dam-e-bala-e-hasti-e-mauhum mein phansa
behtar yahi saza thi gunahgar ke liye
kyunkar raqib aaen na mahfil mein aap ki
hai KHar gul ke waste gul KHar ke liye
pa-bosiyon ke shauq mein apna ye lauh-e-dil
ek KHal ban gaya qadam-e-yar ke liye
jalwa dikha de KHwab mein bahr-e-KHuda mujhe
aankhen taras gain tere didar ke liye
bachchon ki tarah hum ne is aaghosh-e-naz mein
pala tha dil ko tujh se dil-azar ke liye
ab shaiKH-o-barhaman mere daman ke tar ko
aate hain lene subha-o-zunnar ke liye
munis jo ek dil tha wo ghul kar firaq se
aansu bana hai chashm-e-guhar-bar ke liye
us ruKH ko dekhte hi dil-e-zar ne kaha
zeba hai ghaza aisa hi ruKHsar ke liye
kya haal-e-dil sunaun 'jamila' ki zoaf se
quwwat zaban mein chahiye izhaar ke liye
Ghazal
Mumkin nahin dawa hai is aazar ke liye
Jameela Khuda Bakhsh