mujrim hai tumhaara to saza kyun nahin dete
is shaKHs ko jine ki dua kyun nahin dete
is peD ke sae mein bhi kyun itni ghuTan hai
hain sabz ye patte to hawa kyun dete
jis KHun mein aa jae safedi ki milawaT
us KHun ko aankhon se baha kyun nahin dete
aaine satate hain to chehre ko na dekho
aankhon mein chamak hai to bujha kyun nahin dete
is arsa-e-KHamosh mein hum tanha khaDe hain
hai dard hamara to sada kyun nahin dete
kuchh log jo pichhe hain wo panjon pe khaDe hain
qad apna ye thoDa sa ghaTa kyun nahin dete
hai aag ka ye khel to phir sochna kaisa
KHud apna badan aap jala kyun nahin dete
wo baat jo paDhte rahe aankhon mein hamari
wo sare zamane ko bata kyun nahin dete

Ghazal
Mujrim hai tumhaara to saza kyun nahin dete
Rashid Fazli