mujhe shikwa nahin barbaad rakh barbaad rahne de
magar allah mere dil mein apni yaad rahne de
qafas mein qaid rakh ya qaid se aazad rahne de
bahar-surat chaman hi mein mujhe sayyaad rahne de
mere nashad rahne se agar tujh ko masarrat hai
to main nashad hi achchha mujhe nashad rahne de
teri shan-e-taghaful par meri barbaadiyan sadqe
jo barbaad-e-tamanna ho use barbaad rahne de
tujhe jitne sitam aate hain mujh par KHatm kar dena
na koi zulm rah jae na ab be-dad rahne de
na sahra mein bahalta hai na ku-e-yar mein Thahre
kahin to chain se mujh ko dil-e-nashad rahne de
kuchh apni guzri hi 'bedam' bhali malum hoti hai
meri biti suna de qissa-e-farhad rahne de

Ghazal
Mujhe shikwa nahin barbaad rakh barbaad rahne de
Bedam Shah Warsi