mujhe KHabar nahin gham kya hai aur KHushi kya hai
ye zindagi ki hai surat to zindagi kya hai
fughan to ishq ki ek mashq-e-ibtidai hai
abhi to aur baDhegi ye lai abhi kya hai
tamam umr isi ranj mein tamam hui
kabhi ye tum ne na pucha teri KHushi kya hai
tum apne ho to nahin gham kisi muKHalif ka
zamana kya hai falak kya hai muddai kya hai
salah-e-kar banaya hai maslahat se use
wagarna naseh-e-nadan ki dosti kya hai
dilon ko khinch rahi hai kisi ki mast nigah
ye dilkashi hai to phir uzr-e-mai-kashi kya hai
mazaq ishq ko samjhoge yun na tum naseh
laga ke dil kahin dekho ye dil-lagi kya hai
wo raat din nahin milte to zid na kar 'ahsan'
kabhi kabhi ki mulaqat bhi buri kya hai
Ghazal
Mujhe KHabar nahin gham kya hai aur KHushi kya hai
Ahsan Marahravi