اردو हिंदी
Mujhe dil ki KHata par yas sharmana nahin aata | Shaahi Shayari
mujhe dil ki KHata par yas sharmana nahin aata

Ghazal

Mujhe dil ki KHata par yas sharmana nahin aata

Yagana Changezi

;

mujhe dil ki KHata par 'yas' sharmana nahin aata
paraya jurm apne nam likhwana nahin aata

mujhe ai naKHuda aaKHir kisi ko munh dikhana hai
bahana kar ke tanha par utar jaana nahin aata

musibat ka pahaD aaKHir kisi din kaT hi jaega
mujhe sar mar kar teshe se mar jaana nahin aata

dil-e-be-hausla hai ek zara si Thes ka mehman
wo aansu kya piyega jis ko gham khana nahin aata

sarapa raaz hun main kya bataon kaun hun kya hun
samajhta hun magar duniya ko samjhana nahin aata