mujhe bhi wahshat-e-sahra pukar main bhi hun
tere visal ka ummid-war main bhi hun
parind kyun meri shaKHon se KHauf khate hain
ki ek daraKHt hun aur saya-dar main bhi hun
mujhe bhi hukm mile jaan se guzarne ka
main intizar mein hun shahsawar main bhi hun
bahut se neze yahan KHud meri talash mein hain
ye dasht jis mein bara-e-shikar main bhi hun
hawa chale to larazti hai meri lau kitni
main ek charagh hun aur be-qarar main bhi hun
Ghazal
Mujhe bhi wahshat-e-sahra pukar main bhi hun
Asad Badayuni