mujhe aish o ishrat ki qudrat nahin hai
karun tark-e-duniya to himmat nahin hai
kabhi gham se mujh ko faraghat nahin hai
kabhi aah o nale se fursat nahin hai
safon ki safen aashiqon ki ulaT den
qayamat hai ye koi qamat nahin hai
barasta hai meinh main tarasta hun mai ko
ghazab hai ye baran-e-rahmat nahin hai
mere sar pe zalim na laya ho jis ko
koi aisi duniya mein aafat nahin hai
hai milna mera faKHr aalam ko lekin
tere pas kuchh meri hurmat nahin hai
main gor-e-ghariban pe ja kar jo dekha
ba-juz naqsh-e-pa lauh-e-turbat nahin hai
buri hi tarah mujh se ruThi hain mizhgan
unhen kuchh bhi chashm-e-murawwat nahin hai
tu karta hai iblis ke kaam zahid
tere fel par kyunke lanat nahin hai
main dil khol 'taban' kahan ja ke roun
ki donon jahan mein faraghat nahin hai

Ghazal
Mujhe aish o ishrat ki qudrat nahin hai
Taban Abdul Hai