اردو हिंदी
Mujhse chhup kar mere armanon ko barbaad na kar | Shaahi Shayari
mujhse chhup kar mere armanon ko barbaad na kar

Ghazal

Mujhse chhup kar mere armanon ko barbaad na kar

Bedam Shah Warsi

;

mujh se chhup kar mere armanon ko barbaad na kar
dad-KHwahi ke liye aaya hun bedad na kar

dekh miT jaega hasti se guzar jaega
dil-e-na-aqebat-andesh unhen yaad na kar

aa gaya ab to mujhe lutf-e-asiri sayyaad
zabh kar Dal magar qaid se aazad na kar

jis pe marta hun use dekh to lun ji bhar ke
itni jaldi tu mere qatl mein jallad na kar

aap to zulm lagatar kiye jate hain
mujh se takid pe takid hai fariyaad na kar

jalwa dikhla ke mera luT liya sabr-o-qarar
phir ye kahte hain ki tu nala-o-fariyaad na kar

aap hi apni jafaon pe pasheman hain wo
un ko mahjub ziyaada dil-e-nashad na kar

ai saba kucha-e-jaanan mein paDa rahne de
KHak hum KHak-nashinon ki to barbaad na kar

hum to jab samjhen ki han dil pe hai qabu 'bedam'
wo tujhe bhul gae to bhi unhen yaad na kar