اردو हिंदी
Mujhse baDh kar hai kahin un ka maqam ai saqi | Shaahi Shayari
mujhse baDh kar hai kahin un ka maqam ai saqi

Ghazal

Mujhse baDh kar hai kahin un ka maqam ai saqi

Zaib Usmania

;

mujh se baDh kar hai kahin un ka maqam ai saqi
mast rahte hain jo be-baada-o-jam ai saqi

qatre qatre ko phiren tere subu-kash lachaar
hai ye kis ke liye ghairat ka maqam ai saqi

marhamat se teri ho jaen na mai-kash bad-dil
sang-dil hai teri mahfil ka nizam ai saqi

'zeb' bhi arz-e-haqiqat mein hai aksar mohtat
ahl-e-mahfil mein ye ehsas hai aam ai saqi