mujh se baDa hai mera haal
tujh se chhuTa tera KHayal
chaar pahar ki hai ye raat
aur judai ke sau sal
hath uTha kar dil par se
aankhon par rakkha rumal
nang hai takiyedaron ka
pa-e-talab ya dast-e-sawal
man jo kahta hai mat sun
ya phir tan par miTTi Dal
ujla ujla tera rup
dhundle dhundle KHadd-o-KHal
sukh ki KHatir dukh mat bech
jal ke pichhe jal na Dal
raj-singhasan mera dil
aan biraje hain jagpal
kis din ghar aaya 'jawed'
kab paya hai us ko bahaal
Ghazal
Mujhse baDa hai mera haal
Ahmad Javed