اردو हिंदी
Mujh pe tu mehrban hai pyare | Shaahi Shayari
mujh pe tu mehrban hai pyare

Ghazal

Mujh pe tu mehrban hai pyare

Gopal Mittal

;

mujh pe tu mehrban hai pyare
ye bhi ek imtihan hai pyare

ye tera aastan jalwa hai
mere dil ki bhi shan hai pyare

kaun kahta hai bewafa tujh ko
kis ke munh mein zaban hai pyare

aashiqi aur shikwa-e-bedad
ye tujhe kya guman hai pyare

tere kuche ka wah kya kahna
ye zamin aasman hai pyare

hai fasana agar jahan to ishq
is fasane ki jaan hai pyare

tu salamat rahe tere dam se
dil ki duniya jawan hai pyare

hae wo dastan-e-gham jis ki
KHamushi tarjuman hai pyare

dil ki betabiyon ka haal na puchh
ek aafat mein jaan hai pyare

hum bhi urdu pe naz karte hain
ye hamari zaban hai pyare