اردو हिंदी
Mujh mein kisi ka aks na partaw Khaali aaina hun main | Shaahi Shayari
mujh mein kisi ka aks na partaw Khaali aaina hun main

Ghazal

Mujh mein kisi ka aks na partaw Khaali aaina hun main

Makhmoor Saeedi

;

mujh mein kisi ka aks na partaw KHali aaina hun main
mere TukDe kaun sameTe ab TuTun ya bikhrun main

meri rasai meri hadon tak teri faza mein tu bhi qaid
tu mujh tak aae to kyun-kar tujh tak kaise pahunchun main

ruKH pe jo tere shafaq khili hai KHun hai mere KHwabon ka
kahe tu ai sham-e-tanhai tujh se lipaT kar ro lun main

duri ke ye lamhe baDh kar kahin na sadiyan ban jaen
tujh ko jab apne pas na paun jaane kya kya sochun main

diwaron se sar Takraun band darichon ke pichhe
khuli faza mein aa niklun to mauj-e-hawa se uljhun main

kaun sunega ye tulani qissa kis ko fursat hai
jo kuchh mujh par bit rahi hai apne dil mein rakkhun main

lafzon mein ehsas ki kaliyan khila raha hun ai 'maKHmur'
jaise koi mujh se kahta ho aa tere lab chumun main