اردو हिंदी
Mujh mein aabaad sarabon ka ilaqa karne | Shaahi Shayari
mujh mein aabaad sarabon ka ilaqa karne

Ghazal

Mujh mein aabaad sarabon ka ilaqa karne

Dinesh naaidu

;

mujh mein aabaad sarabon ka ilaqa karne
phir chali aai teri yaad ujala karne

din mera phir bhi kisi taur guzar jaega
raat aaegi udasi ko kushada karne

aur be-waqt chala aata hai sawan mujh mein
ek guzre hue mausam ka taqaza karne

main ne jalte hue sahra mein tera nam liya
saeban KHud hi chala aaya hai saya karne

kaisa lawa hai tah-e-ab yahan aankhon mein
kaun aaya hai samundar ko jazira karne