mujh mein aa kar Thahar gaya koi
husn-e-dil mein utar gaya koi
kaisi di ye mujhe kitab-e-ishq
paDhte paDhte bikhar gaya koi
aaj KHushbu bhare gulabon se
mere daman ko bhar gaya koi
apna apna tha aaina sab ka
jaane kis mein sanwar gaya koi
haal-e-dil us ne aaj kya puchha
jaise dariya Thahar gaya koi
le ke kandhon pe apne phirti hun
mere andar hi mar gaya koi
raushni bhik mein nahin milti
apni jaan se guzar gaya koi
ab na hansti hun aur na roti hun
kaisa jadu sa kar gaya koi
rakh kahti thi 'shama' ki uD kar
hae waqt-e-sahar gaya koi
Ghazal
Mujh mein aa kar Thahar gaya koi
Syeda Nafis Bano shama