mujh ko yaqin hai sach kahti thin jo bhi ammi kahti thin
jab mere bachpan ke din the chand mein pariyan rahti thin
ek ye din jab apnon ne bhi hum se nata toD liya
ek wo din jab peD ki shaKHen bojh hamara sahti thin
ek ye din jab sari saDken ruThi ruThi lagti hain
ek wo din jab aao khelen sari galiyan kahti thin
ek ye din jab jagi raaten diwaron ko takti hain
ek wo din jab shamon ki bhi palken bojhal rahti thin
ek ye din jab zehn mein sari ayyari ki baaten hain
ek wo din jab dil mein bholi-bhaali baaten rahti thin
ek ye din jab lakhon gham aur kal paDa hai aansu ka
ek wo din jab ek zara si baat pe nadiyan bahti thin
ek ye ghar jis ghar mein mera saz-o-saman rahta hai
ek wo ghar jis ghar mein meri buDhi nani rahti thin
Ghazal
Mujhko yaqin hai sach kahti thin jo bhi ammi kahti thin
Javed Akhtar