muhit-e-husn jo ab dam-ba-dam chaDhaw pe hai
chala hai ghar se akaDta baDe hi taw pe hai
mujhe bata de tu rahta hai kaun se ghar mein
ki jis ke koThe se koTha tera lagaw pe hai
uTha ke aankh kise dekhne ki tab hai aah
nashist-e-yar agarche baDe dikhaw pe hai
hum us ki bazm ki hasrat mein hath malte hain
ye jun jun sunte hain majlis baDe jamaw pe hai
na puchho bahr-e-mohabbat mein kuchh hamara haal
jo kuchh hai aafat-e-dariya so apni naw pe hai
'ghazanfar' us se tu kar lijo arz-e-haal apna
abhi na bol ki ghusse mein hai wo taw pe hai
Ghazal
Muhit-e-husn jo ab dam-ba-dam chaDhaw pe hai
Ghazanfar Ali Ghazanfar