اردو हिंदी
Muddaton humse mulaqat nahin karte hain | Shaahi Shayari
muddaton humse mulaqat nahin karte hain

Ghazal

Muddaton humse mulaqat nahin karte hain

Farah iqbal

;

muddaton hum se mulaqat nahin karte hain
ab to sae bhi koi baat nahin karte hain

dasht-e-hairan ka pata aaj bhi malum nahin
ab to rahon mein bhi hum raat nahin karte hain

mabadon mein jo jalate the diye mere liye
ab sar-e-sham munajat nahin karte hain

banT dete hain sabhi KHwab suhane apne
daman-e-dard se KHairaat nahin karte hain

rok lete the jo jangal mein wo aaseb bhi ab
chup hi rahte hain sawalat nahin karte hain

wo jo barse the inayat ke baadal hum par
wo bhi ab pahli si barsat nahin karte hain

kitne barham the 'farah' TuT ke jab bikhre the
aaj-kal hum bhi shikayat nahin karte hain