اردو हिंदी
Muddat hui rahat bhara manzar nahin utra | Shaahi Shayari
muddat hui rahat bhara manzar nahin utra

Ghazal

Muddat hui rahat bhara manzar nahin utra

Suleman Khumar

;

muddat hui rahat bhara manzar nahin utra
sawan ka mahina meri chhat par nahin utra

raushan raha ek shaKHs ki yaadon se hamesha
girdab mein zulmat ke mera ghar nahin utra

jis aankh ne dekha tumhein deti hai gawahi
tum jaisa zamin par koi paikar nahin utra

sachchai mere honTon se utri nahin hargiz
jab tak mere kandhon se mera sar nahin utra

qudrat ki ibaraat ko paDhte rahe barson
mafhum magar zehn ke andar nahin utra

nashsha hi kuchh aisa tha futuhat ka us par
jazbaat ke tausan se sikandar nahin utra

sahil pe jo utra tha safinon ko jala kar
sadiyon se phir aisa koi lashkar nahin utra

utra nahin nafrat ke samundar mein kabhi main
mujh mein kabhi nafrat ka samundar nahin utra

koshish to bahut ki thi 'KHumar' hum ne bhi lekin
shishe mein wo ek shoKH sitamgar nahin utra