mudawa habs ka hone laga aahista aahista
chali aati hai wo mauj-e-saba aahista aahista
zara waqfa se niklega magar niklega chand aaKHir
ki suraj bhi to maghrib mein chhupa aahista aahista
koi sunta to ek kohram barpa tha hawaon mein
shajar se ek patta jab gira aahista aahista
abhi se harf-e-ruKHsat kyun jab aadhi raat baqi hai
gul o shabnam to hote hain juda aahista aahista
mujhe manzur gar tark-e-ta'alluq hai raza teri
magar TuTega rishta dard ka aahista aahista
phir is ke baad shab hai jis ki had subh-e-abad tak hai
mughanni sham ka naghma suna aahista aahista
shab-e-furqat mein jab najm-e-sahar bhi Dub jate hain
utarta hai mere dil mein KHuda aahista aahista
main shahr-e-dil se nikla hun sab aawazon ko dafna kar
'nadim' ab kaun deta hai sada aahista aahista
Ghazal
Mudawa habs ka hone laga aahista aahista
Ahmad Nadeem Qasmi