اردو हिंदी
Mohabbaton ka KHaridar DhunDne nikla | Shaahi Shayari
mohabbaton ka KHaridar DhunDne nikla

Ghazal

Mohabbaton ka KHaridar DhunDne nikla

Mohsin Ehsan

;

mohabbaton ka KHaridar DhunDne nikla
KHuda KHud aaj gunahgar DhunDne nikla

kuchh is qadar tha andhera ki subh ka suraj
hamare kucha-o-bazar DhunDne nikla

meri tarah ki farasat hai kis ke pas ki main
jo shahr ho gaya mismar DhunDne nikla

badan ki dhup ne wo haal kar diya hai ki main
rida-e-saya-e-ashjar DhunDne nikla

ajib majlis-e-ahl-e-kamal hai ki yahan
har ek apna taraf-dar DhunDne nikla

nai sadi mein purani sadi ka sailani
guzishta ahd ke aasar DhunDne nikla

lab-e-furaat wo manzar tha didani 'mohsin'
jab ek sawar ko rahwar DhunDne nikla