mohabbat wo maraz hai jis ka chaara ho nahin sakta
jigar ka ho ki dil ka zaKHm achchha ho nahin sakta
wo nala koi nala hai jo kam ho mauj-e-tufan se
wo aansu koi aansu hai jo dariya ho nahin sakta
tamasha hai ki hum us ko masiha dam samajhte hain
hamare dard ka jis se mudawa ho nahin sakta
mujhe fariyaad par mail na kar ai josh-e-nakaami
zamane-bhar mein dil ka raaz ruswa ho nahin sakta
ajab kya hai jo KHamoshi hi sharh-e-arzu kar de
mere lab se to izhaar-e-tamanna ho nahin sakta
mubarak ho tujhi ko ye KHayalistan ai waiz
teri duniya mein rindon ka guzara ho nahin sakta
tamasha ho gaya hai tere jalwon ka tamashai
koi is shan se mahw-e-tamasha ho nahin sakta
badal sakte ho tum bigDi hui qismat zamane ki
tumhaari ek nigah-e-naz se kya ho nahin sakta
Ghazal
Mohabbat wo maraz hai jis ka chaara ho nahin sakta
Arsh Malsiyani

