اردو हिंदी
Mohabbat tum se hai lekin juda hain | Shaahi Shayari
mohabbat tum se hai lekin juda hain

Ghazal

Mohabbat tum se hai lekin juda hain

Jigar Barelvi

;

mohabbat tum se hai lekin juda hain
hasin ho tum to hum bhi parsa hain

hamein kya is se wo kaun aur kya hain
ye kya kam hai hasin hain dilruba hain

zamane mein kise fursat jo dekhe
suKHnawar kaun shai hain aur kya hain

miTate rahte hain hum apni hasti
ki aagah-e-mizaj-e-dilruba hain

na jaane darmiyan kaun aa gaya hai
na wo hum se na hum un se juda hain

kabhi ro ro ke sochegi ye duniya
abhi hum kya bataen aah kya hain

nahin banti hai kuchh bhi kahte sunte
ajab kuchh gu-magu mein mubtala hain

ye teri be-ruKHi ye sargirani
jiye jate hain jo hum be-haya hain

jigar banta nahin kuchh karte dharte
ki bilkul jaise hum be-dast-o-pa hain