mohabbat se tariq-e-dosti se chah se mango
mere sahab kisi se dil jo mango rah se mango
gae farhad-o-qais un ka nazir ek main jahan mein hun
azizan KHair baqi mandgan allah se mango
KHat us kafir ne qatl-e-am ka farman nikala hai
musalmano panah us aafat-e-nagah se mango
agar hai azm rum-o-zang ki tasKHir ka bare
kumak tum ankhDiyon apni ki nadir-shah se mango
numud ai aashiqo gar marke mein ishq ke chaho
to mango tabl nale se alam-dar aah se mango
nazar sab kuchh paDe uTh jae ghaflat ka agar parda
jahan ki did ki ruKHsat dil-e-agah se mango
milun main yar se phir aap ke dhaDi hai aur sandal
duaen shaiKH ji piron ki tum dargah se mango
dimagh us ka falak par hai abas KHajlat-zada hoge
miyan dil sunte ho bosa na tum us mah se mango
maal-e-kar us ka KHak hai juz KHwari-o-zillat
aman ai dosto duniya mein hubb-e-jah se mango
siwa ek mal-o-zar ke jaan-o-dil hai din-o-iman hai
tumhein jo chahiye is apne daulat-KHwah se mango
liye aur gum kiye lakhon hi us ne ye nahin hota
'muhib' dil de ke phir us shoKH-e-be-parwah se mango

Ghazal
Mohabbat se tariq-e-dosti se chah se mango
Waliullah Muhib