اردو हिंदी
Mohabbat Khaar-e-daman ban ke ruswa ho gai aaKHir | Shaahi Shayari
mohabbat Khaar-e-daman ban ke ruswa ho gai aaKHir

Ghazal

Mohabbat Khaar-e-daman ban ke ruswa ho gai aaKHir

Shaanul Haq Haqqi

;

mohabbat KHar-e-daman ban ke ruswa ho gai aaKHir
ye aqlim-e-azizan be-zuleKHa ho gai aaKHir

bisat-e-arzu taswir-e-sahra ho gai aaKHir
wo hangamon ki basti ho ki duniya ho gai aaKHir

nishan-e-subh yun gum hai ki ab nikle na jab nikle
udhar andaz-e-shab aisa ki goya ho gai aaKHir

meri aankhon ka bas ek KHwab thi wo hasrat-e-pinhan
jo KHud un ki nigahon ka taqaza ho gai aaKHir

qalam ko hai usi surat-kade ki justuju yani
kahin pinhan thi wo surat jo paida ho gai aaKHir

faqat iman hi kya pamal hain iman-shikan lakhon
dilon ki wo mata-e-kafiri kya ho gai aaKHir

numud-e-subh-e-wada se to KHair ummid hi kya thi
wo furqat ki shab-e-hangama-ara ho gai aaKHir

kabhi ye larzishen saz-ashna hongi to dekhoge
dilon ki be-kali aashob-e-dariya ho gai aaKHir

hum apne chaak-e-daman par bahut ruswa rahe 'haqqi'
nazar aain-e-mahfil se shanasa ho gai aaKHir