اردو हिंदी
Mohabbat ka asar jata kahan hai | Shaahi Shayari
mohabbat ka asar jata kahan hai

Ghazal

Mohabbat ka asar jata kahan hai

Dagh Dehlvi

;

mohabbat ka asar jata kahan hai
hamara dard-e-sar jata kahan hai

dil-e-betab sine se nikal kar
chala hai tu kidhar jata kahan hai

adam kahte hain us kuche ko ai dil
idhar aa be-KHabar jata kahan hai

kahun kis munh se main tere dahan hai
jo hota to kidhar jata kahan hai

tere jate hi mar jaunga zalim
mujhe tu chhoD kar jata kahan hai

hamare hath se daman bacha kar
are bedad-gar jata kahan hai

teri chori hi sab meri nazar mein
chura kar tu nazar jata kahan hai

agarche pa-shikasta hum hain ai 'dagh'
magar qasd-e-safar jata kahan hai