اردو हिंदी
Mohabbat ka ajab zawiya hai | Shaahi Shayari
mohabbat ka ajab zawiya hai

Ghazal

Mohabbat ka ajab zawiya hai

Hasan Rizvi

;

mohabbat ka ajab zawiya hai
hawaen chaar-su aur ek diya hai

hum ahl-e-dard KHud se puchhte hain
watan ko hum ne ab tak kya diya hai

sitamgar ke sitam itne baDhe hain
labon ko aaj hum ne si liya hai

achanak bol uThe diwar-o-dar bhi
ye kis ka nam main ne le liya hai

tumhaare KHwab aaKHir kya hue hain
haqiqat-ashna kis ne kiya hai

tumhaari pyas kyun bujhti nahin hai
ye kis ki ok se pani piya hai

meri aankhon se aansu kis ne ponchhe
gareban chaak ye kis ne siya hai

sabhi ko lauTna hai ek na ek din
'hasan' duniya mein kaun itna jiya hai