اردو हिंदी
MoD moD ghabraya gam gam dahla main | Shaahi Shayari
moD moD ghabraya gam gam dahla main

Ghazal

MoD moD ghabraya gam gam dahla main

Jaleel u0027Aaliu0027

;

moD moD ghabraya gam gam dahla main
jaane kin KHarabon ke raston pe nikla main

sath-e-ab kah pae kya tahon ke afsane
same-e-lab-e-sahil bahr se bhi gahra main

aur kuchh taqaze ka silsila chale yaro
pal mein kaise man jaun muddaton ka ruTha main

wo ki hai mera apna harf-e-muddaa us ko
ghair ke hawale se kis tarah samajhta main

jaane jazb ho jaun kab faza ke aanchal mein
saaton ki aankhon se ashk ban ke Dhalka main

ek roz to girtin faslon ki diwaren
ek roz to apne sath sath chalta main

kaun hai mera qatil kis ka nam lun 'ali'
apni hi wafaon ke paniyon mein Duba main