miyan dil tujhe le chale husn wale
kaho aur kiya ja KHuda ke hawale
idhar aa zara tujh se mil kar main ro lun
tu mujh se zara mil ke aansu baha le
chala ab to sath un ke tu bebasi se
laga mere pahlu mein furqat ke bhaale
KHabar-dar un ke siwa zulf o ruKH ke
kahin mat nikalna andhere ujale
tere aur bhi hain talabgar kitne
mabaada koi tujh ko wan se uDa le
kahin qahr aisa na kijo ki mujh ko
bulane paDen fal tawiz wale
kisi ka to kuchh bhi na jawega lekin
paDenge mujhe apne jine ke lale
teri kuchh sifarish main un se bhi kar dun
karega tu kya yaad mujh ko bhula le
suno dilbaro gul-ruKHo mah-jabino
main tum pas aaya hun ek iltija le
KHuda ki raza ya mohabbat se apni
paDa ab to aa kar tumhaare ye pale
tum apne hi qadmon tale us ko rakhiyo
tasalli dilase mein har dam sambhaale
koi us ko taklif aisi na dijo
ki jis mein ye ro kar kare aah nale
tumhaare ye sab naz uThawega lekin
wahi bojh rakhiyo jise ye uTha le
agar dastaras ho to kije munadi
ki phir koi sine mein dil ko na pale
'nazir' aah dil ki judai buri hai
bahen kyun na aankhon se aansu ke nale

Ghazal
Miyan dil tujhe le chale husn wale
Nazeer Akbarabadi