miTTi mein mila de ki juda ho nahin sakta
ab is se ziyaada main tera ho nahin sakta
dahliz pe rakh di hain kisi shaKHs ne aankhen
raushan kabhi itna to diya ho nahin sakta
bas tu meri aawaz se aawaz mila de
phir dekh ki is shahr mein kya ho nahin sakta
ai maut mujhe tu ne musibat se nikala
sayyaad samajhta tha riha ho nahin sakta
is KHak-e-badan ko kabhi pahuncha de wahan bhi
kya itna karam baad-e-saba ho nahin sakta
peshani ko sajde bhi ata kar mere maula
aankhon se to ye qarz ada ho nahin sakta
darbar mein jaana mera dushwar bahut hai
jo shaKHs qalandar ho gada ho nahin sakta
Ghazal
MiTTi mein mila de ki juda ho nahin sakta
Munawwar Rana