اردو हिंदी
MiTne wali hasraten ijad kar leta hun main | Shaahi Shayari
miTne wali hasraten ijad kar leta hun main

Ghazal

MiTne wali hasraten ijad kar leta hun main

Hafeez Jalandhari

;

miTne wali hasraten ijad kar leta hun main
jab bhi chahun ek jahan aabaad kar leta hun main

mujh ko in majburiyon par bhi hai itna iKHtiyar
aah bhar leta hun main fariyaad kar leta hun main

husn be-chaara to ho jata hai akasr mehrban
phir use aamada-e-be-dad kar leta hun main

tu nahin kahta magar dekh o wafa-na-ashna
apni hasti kis qadar barbaad kar leta hun main

han ye virana ye dil ye aarzuon ka mazar
tum kaho to phir ise aabaad kar leta hun main

jab koi taza musibat TuTti hai ai 'hafiz'
ek aadat hai KHuda ko yaad kar leta hun main