miTa diya mere saqi ne aalam-e-man-o-tu
pila ke mujh ko mai-e-la-ilaha-illa-hu
na mai na sher na saqi na shor-e-chang-o-rabab
sukut-e-koh o lab-e-ju wa lala-e-KHud-ru
gada-e-mai-kada ki shan-e-be-niyazi dekh
pahunch ke chashma-e-haiwan pe toDta hai subu
mera sabucha ghanimat hai is zamane mein
ki KHanqah mein KHali hain sufiyon ke kadu
main nau-niyaz hun mujh se hijab hi aula
ki dil se baDh ke hai meri nigah be-qabu
agarche bahr ki maujon mein hai maqam is ka
safa-e-paki-e-tinat se hai guhar ka wazu
jamil-tar hain gul o lala faiz se is ke
nigah-e-shair-e-rangin-nawa mein hai jadu
Ghazal
MiTa diya mere saqi ne aalam-e-man-o-tu
Allama Iqbal