misl-e-bahisht-e-KHush-numa kaun-o-makan mein
insan mubtala hai ajib imtihan mein
bujhti nahin hai koshish-e-dariya ke bawajud
ye kaisi tishnagi hai mere jism o jaan mein
wo dhup mein khaDa hai baDe itminan se
lau de raha hai mera badan saeban mein
kyun nam intisab mein likhkha gaya mera
kirdar jab nahin tha mera dastan mein
is bar pastiyan bhi mayassar na aaengi
shal ho gae jo baal-o-par unchi uDan mein
wabasta tujh se azmat-e-sher-o-suKHan hui
is baat ko bhi rakhna 'KHayal' apne dhyan mein
Ghazal
Misl-e-bahisht-e-KHush-numa kaun-o-makan mein
Rafique Khayal

