اردو हिंदी
Mishal-e-ummid thamo rahnuma jaisa bhi hai | Shaahi Shayari
mishal-e-ummid thamo rahnuma jaisa bhi hai

Ghazal

Mishal-e-ummid thamo rahnuma jaisa bhi hai

Iftikhar Naseem

;

mishal-e-ummid thamo rahnuma jaisa bhi hai
ab to chalna hi paDega rasta jaisa bhi hai

kis liye sar ko jhukaen ajnabi ke samne
us se hum waqif to hain apna KHuda jaisa bhi hai

kis ko fursat thi hujum-e-shauq mein jo sochta
dil ne us ko chun liya wo bewafa jaisa bhi hai

sari duniya mein wo mere waste bas ek hai
phul sa chehra hai wo ya chand sa jaisa bhi hai

fasl-e-gul mein bhi dikhata hai KHizan-dida-daraKHt
TuT kar dene pe aae to ghaTa jaisa bhi hai