اردو हिंदी
Misal-e-KHwab hamesha kisi safar mein rahe | Shaahi Shayari
misal-e-KHwab hamesha kisi safar mein rahe

Ghazal

Misal-e-KHwab hamesha kisi safar mein rahe

Qamar Siddiqi

;

misal-e-KHwab hamesha kisi safar mein rahe
hum apni nind mein bhi us ki rahguzar mein rahe

kisi ki yaad ke baadal barasne wale the
bahut KHarab tha mausam so aaj ghar mein rahe

tamam umr usi jism se shikayat thi
tamam umr usi jism ke khanDar mein rahe

mata-e-dard ko aaKHir kahan kahan rakhte
so mere ganj-e-giran-maya-e-hunar mein rahe

ye zindagi hai 'qamar' ya ki jangalon ka safar
har ek lamha yahan rah-e-pur-KHatar mein rahe