meri zindagi pe na muskura mujhe zindagi ka alam nahin
jise tere gham se ho wasta wo KHizan bahaar se kam nahin
mera kufr hasil-e-zohd hai mera zohd hasil-e-kufr hai
meri bandagi wo hai bandagi jo rahin-e-dair-o-haram nahin
mujhe ras aaen KHuda kare yahi ishtibah ki saaten
unhen aitabar-e-wafa to hai mujhe aitabar-e-sitam nahin
wahi karwan wahi raste wahi zindagi wahi marhale
magar apne apne maqam par kabhi tum nahin kabhi hum nahin
na wo shan-e-jabr-e-shabab hai na wo rang-e-qahr-e-itab hai
dil-e-be-qarar pe in dinon hai sitam yahi ki sitam nahin
na fana meri na baqa meri mujhe ai 'shakil' na DhunDhiye
main kisi ka husn-e-KHayal hun mera kuchh wajud o adam nahin
Ghazal
Meri zindagi pe na muskura mujhe zindagi ka alam nahin
Shakeel Badayuni