meri sans ab chaara-gar TuTti hai
kahin juDti hai phir kahin TuTti hai
ye KHu hai tumhaari to kyun-kar banegi
udhar banti hai to idhar TuTti hai
na hum par hanso haal hota hai ye hi
musibat jo insan par TuTti hai
samajhta hun kuchh main bhi baaten tumhaari
ye har tan kya ghair par TuTti hai
KHuda ke liye phir to aisa na kahna
meri aas ai nama-bar TuTti hai
yahan jis ke be-dekhe ji TuTta hai
wahan us ki har-dam nazar TuTti hai
ghazab hatha-pai ka hai lutf hota
koi un ki chuDi agar TuTti hai
adu ka bhi to ghar hai ai charKH zalim
jo aafat hai mere hi ghar TuTti hai
teri baat ka kya hai unwan qasid
tawaqqoa hamari magar TuTti hai
ye gham hai to rona bhi apna yahi hai
ye rona hai to chashm-e-tar TuTti hai
ye kahna 'nizam' ab to sone de mujh ko
koi baiThe kab tak kamar TuTti hai
Ghazal
Meri sans ab chaara-gar TuTti hai
Nizam Rampuri

