اردو हिंदी
Meri hi baat sunti hai mujhi se baat karti hai | Shaahi Shayari
meri hi baat sunti hai mujhi se baat karti hai

Ghazal

Meri hi baat sunti hai mujhi se baat karti hai

Bharat Bhushan Pant

;

meri hi baat sunti hai mujhi se baat karti hai
kahan tanhai ghar ki ab kisi se baat karti hai

hamesha us ki baaton mein andheron ka wahi rona
ye shab jab bhi diye ki raushni se baat karti hai

main jab mayus ho kar raste mein baiTh jata hun
to har manzil meri aawargi se baat karti hai

sukut-e-shab mein jab sare musafir soe hote hain
unhin lamhat mein kashti nadi se baat karti hai

kabhi chup chap tariki ki chadar oDh leti hai
kabhi wo jhil shab bhar chandni se baat karti hai

dayar-e-zat mein us waqt jab main bhi nahin hota
koi aawaz meri KHamushi se baat karti hai

hamesha us ke chehre par ajab sa KHauf rahta hai
kabhi jab maut meri zindagi se baat karti hai