meri hayat hai bas raat ke andhere tak
mujhe hawa se bachae rakho sawere tak
dukan-e-dil mein nawadir saje hue hain magar
ye wo jagah hai ki aate nahin luTere tak
mujhe qubul hain ye gardishen tah-e-dil se
rahen jo sirf tere bazuon ke ghere tak
saDak pe soe hue aadmi ko sone do
wo KHwab mein to pahunch jaega basere tak
chamak-damak mein dikhai nahin diye aansu
agarche main ne ye nag rah mein bikhere tak
kahan hain ab wo musafir-nawaz bahutere
uTha ke le gae KHana-ba-dosh Dere tak
thaka hua hun magar is qadar nahin ki 'shuur'
laga sakun na ab us ki gali ke phere tak

Ghazal
Meri hayat hai bas raat ke andhere tak
Anwar Shuoor