meri ghazal jo nae saz se ibarat hai
mere nafas meri aawaz se ibarat hai
khaTak raha hai jo nashtar jarahat-e-dil mein
fareb-e-nargis-e-tannaz se ibarat hai
haqiqaton ko fasana bana diya jis ne
ye sehr bhi tere eajaz se ibarat hai
qafas bhi jaise daricha hai dil ke zindan ka
nafas bhi lazzat-e-parwaz se ibarat hai
mere lahu ki ye gardish usi ka jadu hai
ye harf-e-dil jo tere raaz se ibarat hai
jahan-o-jaan ka sitam aarzu ka lutf-o-karam
teri ada se tere naz se ibarat hai
na aa saka mere ashaar mein 'salim' ka rang
jo us ke munfarid andaz se ibarat hai

Ghazal
Meri ghazal jo nae saz se ibarat hai
Tanveer Ahmad Alvi