meri bhanwon ke ain darmiyan ban gaya
jabin pe intizar ka nishan ban gaya
suna hua tha hijr mustaqil tanaw hai
wahi hua mera badan kaman ban gaya
muhib chup mein aahaTon ka wahima hawa
main sar se panw tak tamam kan ban gaya
hawa se raushni se rabta nahin raha
jidhar thin khiDkiyan udhar makan ban gaya
shurua din se ghar main sun raha tha is liye
sukut meri madari zaban ban gaya
aur ek din khinchi hui lakir miT gai
guman yaqin bana yaqin guman ban gaya
kai KHafif gham mile malal ban gae
zara zara si katranon se than ban gaya
mere baDon ne aadatan chuna tha ek dasht
wo bas gaya 'rahim' yar-KHan ban gaya

Ghazal
Meri bhanwon ke ain darmiyan ban gaya
Umair Najmi